Saturday, August 29, 2009

Rishtee

Samne hi diwan ji ki vishal kothi najar aa rahi thi,hamesa logo ka ana jana laga rahta tha vala ache logo se milne kaun nai ata!
diwan ji retire ho chuke the,unke teen bate Naveen,praveen aur Rupesh .Enme Navin ghar ka sabse bada uski shadi ke v bahut din ho chuke the.ek beti Sikha aathvi mai aur beta Suraj pachvi mai parh raha tha.Dusra beta praveen doctor tha uski shadi v teen shal pahle Gittika jo usi ke hospital mai lady doctor thi ,usi ke sath hui thi.shal var pehle unhe ek bahut sundar beta "Mohit" hua tha jo pure ghar ka ronak tha. Sare ghar wale us ke sath totali boli bolte nai thakte the.
diwan ji burhe ho chuke the so unhe apni aakhri jimawari v puri karne ki sochi.chota Rupesh v wakalat kar raha tha,shadi ke liye barabar rishte aa rahe the ,rupesh ki bhabhi sada use chad ti hui bolti "oo dawer ji kis apsra ki talash hai
"Aur Rupesh unke bato se sarma jata". Ek bara hi acha rishta aya,ladki akeli beti uske pita retired engineer the.sabhi ko ladki ki photo pasand aaye.Taye hua ki unse bat ki jayege,aur jalad hi Rupesh ki sagai "Nidhi" ke sath ho gai.Nidhi apne ghar mai aakle thi esliye shadi ke baad use sasural mai vara vara lagta tha.sabhi baro ki salah se kuch din ki chuti le kar rupesh hanimoon per chala gya.
saptah var baad jab we laute to Nidhi ne dekha ek burhi aurat ghar ki safai kar rahi thi.rupesh se puchne per pata chala ki yah unke ghar kai shalo se kam kar rahi hai we log use "kaki"kah kar hi pukarte hai. Edhar sikha or suraj Nidhi ke wapas aane se bahut khush the .we dono "choti chachi- choti chachi" kah kar uske aage peeche ghum rahe the".Nidhi v unse mil kar kafi khush thi usne bare pyar se Sikha ko ek khubshurat dress diya or Suraj ko uska favourite gitar .Tabhi rupesh ki ma Mohit ko god mai le kar aaye aur boli bahu mere chote pote ke liye kya le kar aaye ho?Nidhi mohit ko jhat se godh mai leti hui boli"Mohit ke liye mai dher shari khilone aur chocolate laai hu" Tabhi Gitika kamre mai aati hai aur kahti hai chalo bacho choti chachi ko tang mat karo.Nidhi ko v bachoo se bahut pyar ho gya tha Door se aane ke karan Nidhi puri tarah thak chuki thi,esliye naha-dho kar wah thori der ke liye bageeche mai chali gai,bageecha tha v kafi bara charo taraf deewan ji ne kaie prakar ke par-podhe laga rakhe the. Tabhi Nidhi ko peeche se ek aawaj aaye"maine nai bhabhi ko dekh liya "Nidhi ne palat kar dekha to ek ladka khara tha,"jiske kapre fatee,baal bikhre,daat peele aur wah uchal-uchal kar tali baja raha tha" Nidhi us ladke ko dekh jhat camre mai bhag gai.Bari didi ne pucha kya hua Nidhi?jab usne ne us ladke ke bare mai bataya to wah log hashne lage,are tum use dar gai wo to hamari "kaki"ka beta Nilesh hai. bachpan se hi yahi pala- barha hai,bechari ki budhi jara thik nai,fir v wo baro ki bari aadar karta kaiNidhi ne bura sa muh banate hue kaha "mujhe to use dekh kar gheen aa rahi thi".Bari didi ne bare pyar se samjhate hye kaha Nidhi aisa nai kahte. per ab to yah roj ka silsila ho gya,Nidhi jab use dekhti ekdum se ghalla uthti,use to nilesh "futi ankh nai suhata tha" uper se ghar wale jab use kuch kahte to wo aagbagula ho jati thi.Nilesh ke karan to ab Rupesh se Nidhi ka ghagra tak suru ho gya tha,aur en sab cheejo ke liye baat-baat per Nidhi Nilesh ko hi doshi thahrati thi .Ek din to had hi ho gai Nidhi hall mai batthi t.v dekh rahi thi,sabhi apne -apne kaam per chale gye the,tavi Nilesh daud kar aya aur sofe per bath gya.Nidhi ne gusse mai kaha -"baghoo yaha se warna aaj tumhe peetungi"per Nilesh ne haste hue kaha mai to yahi bathunga.Nidhi ka gussa ab aur v barh gya,per Nilesh per en baato ka koi pravaw nai hote dekh wah gusse se tilmilati hue uthi aur samne tange chaabuk se us per prahar karne lagi,or wah nirih janwar ki tarah jameen per chatpatane laga,tavi uski ma aagai,bahu rani ye kya aap kya kar rahi hai?es masum ne kya kiya............Nidhi chabuk chalati hui boli apne bate ko yaha se le jao,yah sun kar kaki ke ankho se anshoo bahne lage.jis ghar mai aaj tak kisi ne uske bate ko daata tak nai tha wahi aaj apne bache ko janwar ki tarah mar khata dekh wah ander tak sihar gai thi.usne Nilesh ko sahara de kar uthaya aur bahar le gai.shaam ko jab en sab bato ka ghar walo ko pata chala to ghar mai ek bara hangama ho gya,ghar ke baaki log to Nidhi ko maaf karne ko tayar v the per Rupesh ka gussa satwe aasman per tha,per Nidhi ne v apni baat manwane ki than li thi usne gusse mai darwaja patakte hue kaha "agar mujse jaida aapko us pagal ki pari thi to apne mujse saadi kyu ki?Rupesh ne to yaha tak kah dala ki agar tumahara beta aisa hota to tab v tum use aise hi bartaw karti?Per Nidhi ab kuch sune ko tayaar nai thi,usne apna aakhri faisla rupesh ko suna hi dia-" ab es ghar mai ya to mai rahunghi ya wo pagal"
kaki ko jab es baat ka pata chala to wo ghar chor ker jaane ko tayar ho gai. Ghar ke baki log v ab roj -roj ke gaghre se tang aa gye the esliye unhone v Nidhi ki baat ko maan lene mai hi bhalai samjahi ,per samsya yah thi ki unlogo ka diwan ji ko chod kar koi pariwar v nai tha aur jo the v wah unhe apne sath rakhna nai chahte the esliye ant mai dewan ji ne une servent quater mai rakhne ka faisla kar diya ,beech mai ek lambi dewaar v utha di gai taki Nilesh bhul se v edhar n aa jaaye. jab kaki kothi ka kam karti to Nilesh ko ghar mai akela chod kar aati,jab tak kaki laut kar nai aati Nilesh khata v nai tha . Ab wah pahle ki tarah khush v nai rahta tha,uske maan mai us din ke pitai ke baad ek dahsat bath gya tha .kabhi-kabhi wah diwan ji ke ghar jane ki jid kart,tab kaki use god mai leta kar bolti"ab hamara ghar yahi hai waha jaoge to phir maar paregi" aur yah sun kar nilesh apni ma ki god mai muh chupa leta aur rote-rote kahta amma choti chachi bilkul achi nai hai.esi tarah saal gujar gay,ab Nilesh v pehle se samajhdar ho gya tha.wah ghar mai amma ki rasoi banane mai madad v karta.Ek din kaki ne bare pyar se Nilesh ke haath ka bana sabji ghar walo ko khilane lai,jab tak Nidhi ko sari bato ki jaankari nai thi tab tak wah maje se kha rahi thi per jaise hi bari di ne Nidhi ko batya ki yah swadist sabji Nilesh ne banaya hai usne turant sabji dustbin fake diya,kaki yah dekh kar samajh chuki thi ki aaj bhi choti bahurani ke man se "mere bate ke liye nafrat kam nai hui hai" sayad bhagwan ne use aisa banaya tha esliye........
kuch din bad pravin ke hospital mai ek special samaroh hone wala tha,esme ghar ke sabhi logo ko jana tha,per Nidhi ki tabiyat acchi nai thi,kyunki ghar mai ek naya mahman aane wala tha ,matlab Nidhi ma banane wali thi.
sabhi log function mai ja chuke the,Nidhi ghar mai akele thi esliye usne darwaje ko ache se laga liya tha. abhi wah palang per batthi hi thi ki bahar se khatkhtane ki awaj hui,khidki se jhank kar dekha to bahut sare log khare the,unme se ek ki najar Nidhi per gai usne use dekhte hi chilate hue kha "darwaja kholiye diwan ji se milna hai,hame hame paise chahiye jo bahut din pahle unhone liye the".Nidhi ne bari shalinta se kaha-abhi ghar mai koi nai hai bad mai aayeyga.tavi usme se ek ne gande tarike se haste hue kaha "acha mauka hai esi se wasul lete hai"or uski baat sun kar sabhi ek sath thak -thakane lage.baat darasal yah thi ki pechla case Rupesh ke jitne ke baad kai logo se Rupesh ke dushmani ho gai thi we har halat mai unki ejjajat ko mitti me milana chahte the.aaj unhe kisi se pata chal gya tha ki ghar me koi nai hai esi baat ka faida utha kar wah yaha aa pahuche the.
Nidhi unke kahne ke andaj se hi puri tarah saham gai thi,wo apne kaapte hatho se khidki ki chitkini lagane lagi.Nidhi ke sath ghar per kawal sikha thi.tavi neeche ke darwaje per jor- jor se we dhaka dene lage aur kuch der bab hi unke stairs per chadne ki padchap sunai dene lagi .edhar Nidhi ke samajh mai kuch nai aa raha tha ki wo kya kare,daar sr uska sara badan kap raha tha wah chupchap apne camre ka darwaje laga kar aur sikha ko le kar ek kone mai dubak gai. tab tak sabhi log uper aa chuke the. kuch log janwaro ki tarah saman ko idhar udhar fakene lagi,sabhi apas mai batiyate hue bole diwan ne kafi maal jama kar rakha hai. edhar kuch ka dhyan band kamre ki taraf gya"are wo ladki sayad esi ke andar hai".kuch mil kar darwaje ko dhakka dene lage, darwake ki aawaj sun kar Nidhi ke ankho ke samne andhara chane laga jaise ki pal var mai hi sab kuch khatam hone wala hai tavi NIdhi ko chitkini ke tut kar girne ki awaj sunai di.Ek janwar wahsi jaisa enshan Nidhi ki taraf lapka,use tijori ki chavi mangi aur dusre ko dete hue bola tum log tijori saaf karo tab tak mai ese dekhta hu.Nidhi ne girgirate hue bari minnate ki per un hawano per eska koi asar nai tha,wah Nidhi ke baalo ko khichta hua use palang per le aya, Nidhi ke virodh karne per uske gaalo per wah jor jor se thappad marne laga,Nidhi aur use mukabla nahi kar saaki aur wo nidhal ho gai,edhar achanak kisi ne us wahsi enshan per chabuk se prahar kiya, Nidhi ko us bahosi ki halat mai v yah ehsaas ho chuka tha ki uski rkcha karne wala dusra aur koi nai Nilesh hi tha. ..usne bina ek pal ruke uske sarir per chabuk ke tej prahar ko banaye rakha,apni sthiti ko jab tak wah thik karta tab tak wah puri tarah se ghayal ho chuka tha.tavi Nilesh ka dhayan (stairs)per gya usne waha rakhe kursi se ek dusre badmas per hamla karte hue use (stairs)se gira diya.jab uske anya saathiyo ko es bare mai khabar hui to we bokhla gye, aur wo ek sath Nilesh per tut pare.apne sardar ko ghyal dekh kar wo puri tarah tilmila uthe the.sabhi ne milkar uske kapre far diye aur uske sarir ki rui ki dhunai karne lage,Nilesh buri tarah chhila raha tha per un logo per to jaise khun sawar tha,we log Nilesh ko shirhi tak ghaseet kar laye or uper se dhaka de diya.Nilesh adhmara sa jameen per chatpatane laga or achanak uska sarir shant per gya,use mara dekh sabhi log waha se bhag khare hue
Nidhi hospital me pari thi uske ankho ke neeche ghahri chote aaye thi.pariwar ke sabhi sadsya use ghere khare the.needhi ne jab aankhe kholi tab usne apne bagal mai ek nanhi jaan ko soya dekha[chot ki wajah se doc ko uska pre delivery karani pari thi]Nidhi ne apni chot ki parwah n karte hue ,Rupesh se eshara karte hue Nilesh ke bare mai pucha.Rupesh ki ankho mai anshoo aa gye.usne sisakte hue kaha un badmasho ne use maar diya.Nidhi ne uthne ka prayas kiya per Dr ne latee hi rahne ko kaha . bahar kaki ro rahi thi, uske aashoo roke nai ruk rahe the.uska ekmatra sahara use chod kar ab bahoot dur ja chjuka tha .ghar ke sabhi log v es ghatna se kafi dukhi the we sabhi baar -baar yahi kah rahe the Nilesh ne hamare ghar ki laaj rakh li,us bachee ne hamare liye apni jaan ki parwah tak nai ki..................
Nidhhi ke liye aaj etna bara din hote hue v wah bilkul v khush nai thi,uske ankho ke aashoo uske pachtawa ko saaf baya kar rahe the.wah rote hye bas etna hi bol rahi thi us bachche ne mere liye jaan de di aur maine hamesa use dutkara........... Nidhi kaki se mil kar unse maafi magna chahti thi. jab kaki kamre mai aaye to nidhi ne apne dono hatho ko faillate hue kaha kaki"maine hi apka bachcha chheena hai muje saja do"kaki apne ankho ki anshoo ko rokti hui boli mera beta kahi nai gya wah to tumahare bagal mai hi leta hai.mere bate ko bari hawali mai rahne ka sokh tha na choti bahurani esiliye to esbar usne tumhare garv se janam liya hai,taki use koi ghar se na nikale."ab to koi use. T,V v chune se nai marega"aur etna kahte -kahte kaki ke sabra ka bandh tut gya aur wo bifar kar rone lagi.
Nidhi ne apna bachcha kaki ke god mai dalte hue kaha---"mat ro kaki ab jo ho chuka wah to thik nai ho sakta per mai etna jaroor kahungi ki wo mera sachha dawer tha jisne apni jaan de kar v meri pawitrata per anch aane nai di"
Nidhi ab thik ho chuki thi uske ghaw v ab puri tarah ver chuke the per uske maan se wo glani nahi jaa pa rahi thi.Nidhi ke kahne per ghar ke beech wo deewar v gira di gai aur usne sabse apne bartaw ki maafi mangte hue kaki ko fir se ghar mai rakhne ka anurodh ki.Nidhi ne apne kamre mai Nilesh ki ek tasvir v laga li thi.Rupesh Nidhi mai aaye es badlaw se kafi kush tha.usne Nidhi se pyar jatate hue kaha -jab tak wah tha tab tak tumne us se kabhi pyar se baat nai ki aur aaj jab wo hamare beech nai hai to tumahre maan me uske liye kitna sneh hai.yah baat sun kar Nidhi ki ankhe dabdaba gai ,usne bare pyar se rupesh ki hatho ko thamte hue kaha "mai janti hu meri galti maafi ke yogya nai........rupesh ne uske maasoom chere ki aur dekhte hue pyar se use gale laga liya.Nidhi ne rupesh ki bahoo me simte hue kaha hum hamare bacche ka naam "Nilesh" hi rakhenge , uski yade hamari jindagi se hamesa judi rahe. Aaj maine yah jaan liya ki sabhi bacche eswar ke hi roop hote hai,chahe wo jaisa v kyu n ho hame us se kabhi ghrinna nai karni chahiye.
edhar Nidhi ke bachhe ko kaki v apne god mai bare pyar se rakhti.use lagta mano uska apna Nilesh fir se bachpan mai chala gya ho!....................:-)